Kalu kauwa aur kabootar ki kahani
iss kahani main gori kauvi apny khawand Kalu kauwa ko kehti hy key ab aram bht hu gya ab tum utho aur kam per niklo warna main apni ami key ghar chali jao gi aur phir Kalu kauwa jo key apny Biwi gori kauvi key sath bht payar krta hy woh ghar se nikalta hy aur kam ki talash main chala jata hy.
Phir woh aik bagh k samny se guzar raha hota hy tu us ko bagh ka malik milta hy jo key kabootar hota hy. Kalu kauwa kabootar se kehta hy mujhy kam pe rakh lu main ap key sabo waly bagh ka kahayal rakhu ga. aur phir kabootar us Kalu kauwa ko kam pe rakh leta hy aur is tarah Kalu kauwa kam pe Lag jata hy aur kabotar us ko kam pe laga ker chala jata hy . lakin kalu kauva jo k bagh ki rakhwali ker raha hota hy woh bagh main lagy sab chupa leta hy aur na sirf sabu ki chori kerta hy balky us k kam key waqat per toota bagh main ata hy aur woh toota samajh leta hy key yeh bagh Kalu kauwa ka hy aur toota us Kalu kauwa se sab khreed leta hy aur chala jata hy. aur jab kabbotar wapis bagh main ata hy woh Kalu kauwa ko chuti de deta hy aur kalu kauwa chuti ker k sabe bhi sath chori ker key Le ata hy. Gori kauvi jb sab khati hy bht khush hoti hy kay sab bhi mil gye aur Kalu kauwa paisy Bhi kama ker ley aya. ab Kalu kauwa roz iss tarah bagh ki rakhwali bhi kerta aur kam bhi kerta lakin jb kabootar jo bagh ka malik tha woh chala jata tu peechy Kalu kauwa us key bagh key sab tooty ko bach deta. phir aik din jab toota sab ley ker ja raha hota hy tu uss sabo key bagh ka malik Kabootar us tooty ko pakar leta hy aur kehta hy key yeh sab ap ne kaha se liye phir toota us kabootar ko puri bat bata deta hy. kabootar ko jab pata chalta hy key us ka naukar Kalu kauwa us k bagh key sabe chori chori bechta hy tu woh us ko moqy pe pakarta hy aur us Kalu kauwa ko kam se nikal deta hey.
Iss tarah Kalu kauwa ki lalach aur beimani ne us ki nokri bhi ley li aur us ki izat bhi khatam hu jati hey. pyary bacho agar ap ko hamari kahani achi lagi hu tu hamary channel ko subscribe bhi kery aur bell icon Pe Click Bhi kery.
Comments
Post a Comment